23-01-2022

Aaj maine shuru kiya hai is par diary entry karna. Mujhe nahi pata ki main kitne din ise kar paaunga haan lekin ye sach hai ki apni puri koshish karoonga ki jayada se jayada din likhon aur ho sake to daily.

Papa ghar par nahi the kyunki wo Kailash uncle ke father expire hue the to unke yahan aaj bhoj tha to isliye papa unke ghar kal shaam ko hi chale gaye the vyavstha dekhne. To main to raat ko 11 baje ise likh raha hoon. Haan to raat ko papa the nahi main, mammi aur nandu thi. Wo donon 1 no. Kamre main so rhe the aur main 2 no. main pehle gaane sun rha tha aur padh rha tha. Heater laga hua tha kamre main 2 rod wala. 

Ye summer cool company ka hai.
To main raat bhar jaaga aur subah 5 baje soya kyunki mera plan to sone ka tha nahi lekin thand ki vajah se razayi main jaane ka man kar rha tha. To main aaj 1:00 PM par jaaga. Aur mere aaj ke teenon(PHY, CHEM,MATHS) tuition cancel ho gaye the. To aaj literally bahut kam padhai ho paayi.

Meri zindagi kya chal rha hai wo batata hoon.
Main 12th class main hoon aur 2021-22 CBSE session chal rha hai. 2020 main 10th ka result aaya tha meri 96 percent bani thi. Uske baad resonance main 80-90% scholarship le kar(resofast exam se) admission liya jee mains+advanced course main. Aur stithi kabada ho gayi COVID ki wajah se. Filhaal 12th board 75% se jayada karna chahta hoon kyunki JEE main nit aur iit main admission lene ke liye itni requirement hai. Maine apni zindagi ka sabse jayda procrastination 11th 12th main kar diya hai. Term 2 honge March-april main to bas usi ki tayari kar rha hoon term-1 bahut kharab hue hain. Pichli saal tak ek baar hote the board lekin pichli saal vividh ki wajah se cancel ho gaye the isliye cbse ne is baar 2 terms main divide kar diya hai board exams ko half half marks ke saath. Term 1 bahut kharab gaye the mere 3 dec(english ) se lekar 14 dec(chemistry) tak the exams.
Bas aur phir agli post main milenge.

Comments